What is Guest Posting? Guest posting ka matlab kia hota hai ?
➝ Guest Posting Introduction
Guest posting ka matlab hota hai ke kisi dusre ke blog ya website par apne content ko publish karna.
Topic

(Guest Posting Kia hoti hi)
Guest posting ka matlab hota hai ke kisi dusre ke blog ya website par apne content ko publish karna.
Is process mein aik shakhs ya organization dusre ke platform par apni likhi hui posts ya articles ko share karte hain.
Guest posting karne ke liye kuch zaroori sharait hoti hain jaise ke high-quality content, relevant topic, aur target audience ke mutabiq likha gaya hona.
Saath hi, guest posting karne ke liye aksar blog ya website owners apni guidelines provide karte hain jinhe follow karna zaroori hota hai.
Agar mein apko iski aik achi example dun to yun samjhein ke Nazeer ke paas aik fashion website hi jiska
Ab Nazeer ka irada hi ke wo apni website pr guest posts ke through traffic lana chahta hi
Isiliye Nazeer google pr gya or Nazeer ne search kia ➝ Write for us + "Fashion"
Ab jaise hi ye search krega to Nazeer ke samne bht sari fashion ko websites ajaingi.
Nazeer ka aim hi ke minimum 40+ DA & DR ho
or almost 5k-10K + Organic traffic per month.
Itne mein Nazeer ko aik website nazar ati hi or us website key stats kuch yun hi;


K Nazeer ko ye website pasand ayi or blogs dekhne ke baad Nazeer inke contact us ke section mein jakar wahan se inki email find ki or Nazeer ne inhe template likha acha sa jis mein batay ke mujhe apki website pr guest post chahiye or requirements waghera poochi.
Admin ne price batai, Nazeer ne bargaining ki or dono jab aik price pr agree hogae to Nazeer ne unhe apna content send kia.
Ab jab wo Nazeer ka dia hua content website pr publish krenge or jo live link Nazeer ko denge isey kehte hi guest post.
Ayein meray sath one line sentence mein repeat krein;
Guest posting se murad hoti hi apna content dosrey ki website pr publish krna takey apne brand ko promote kia jaye.
Umeed hi apko achey se samajh agayi hogi bilkul basics guest posting ki ke ye kia hoti.
ALLAH Hafiz
Regards,
Nazeer
Tags:
Tips and Tricks